Monday, August 1, 2011

To Kya Hota....

Na thaa kuch to khuda thaa, na kuch hota to khuda hota
Duboya mujh ko hone ne, na hota main to Kya hota.....

Jo gar peeli un aankhon se, to jhoom uthta tha mera man
Sambhaala mujhko botal ne, na hota may to Kya hota....

Pyaar mein shab ke aate hi, aatish-e-soz baraste the
Bujhaaya mujhko sholon ne, na hota khaakh to Kya hota.....

Hai poocha meri aankhon ne, diya kyon ashq-e-tanhaai
Bahaaya mujhko dono ne, na hota surkh to Kya hota....

The jalwe aur bhi tere, fasaanon mein kahaani mein
Sunaaya mujhko kisson ne, na hota yun to Kya hota.....