is baar jo beta bomb phate
to kahin na aana jaana tum
main kehti hoon chodd ke Mumbai
ghar ko laut aana tum.
har dhamaake ki khabar se
kaleja mera dehalta hai
ab umar ke aise modd pe
har pal mujhe darr lagta hai.
main kehti hoon kya rakkha hai
aise mue shehar mein tere
jaan ki keemat na chavvani rahi
pulinda barood ka sab ko ghere.
neend bhi gul hai chain bhi gayab
ab yehi bhay hai raaton mein
hum ko aag lagaane waala
dhuaan na ho jaaye dhamaakon mein.
do roti zyaada bailoongi
chahe ek sabzi karni pade kum
main kehti hoon chodd ke sab kuch
ghar ko laut aana tum.
is baar jo beta bomb phate
to kahin na aana jaana tum.
THE SON REPLIES
Amma chinta mat kar meri
aise bomb to roz phatate hain
Meri maano usse zyaada
log patri pe katate hain.
is shehar mein log hai saste
phatne se inko kya darr
har roz subah ye aise jeete
jaise raat ko jaana marr.
zeb phate aur ghiste-ghiste sole phate
degree roz phatati hai meri
ka karoon amma kaise aaon
ye shehar khwaab dikhaaye sunehri
jaane kitne ghar jalaaye
kal ke teen dhamaakon ne
khauf hai bas aansoo nahi
ab meri in aankhon mein.
kewal is shehar ki baat nahi
goliyaan wahaan bhi chalti
har taraf hai maut ka pehra
ab hum kyaa jaane kiski galti.
tu kehti hai chodd ke aaja
mann karta hai mera bhi
par kaun sunega darr ka bahaana
ye kahaani sab ke jeevan ki.
tum sab ko lene
ek na ek din main aaon
aasirwaad de ammaa meri
ranchodd nahi ranbaankura kehlaaon.
darr mein jeena seekh rahaa hoon
darr ke harr kadam uthaoonga
is baar jo koi bomb phate
to kahin na aaon- jaaonga.

No comments:
Post a Comment